Dil mein ab yun tere

Dil mein ab yun tere bhoolay hue gham atay hain
Jaisay bichhre hue kaaba mein sanam atay hain
Aik ik kar ke hue jatay hain tarre roshan
Meri manzil ki taraf tairay qadam atay hain Continue reading “Dil mein ab yun tere”
Khula hai jhoot ka bazaar, ao sach bolein

Khula hai jhoot ka bazaar, ao sach bolein
Nah ho bulaa se khredar, ao sach bolein
Sukut chaaya hai insaaniyat ki qadron par
Yahi hai mauqa izhaar, ao sach bolein Continue reading “Khula hai jhoot ka bazaar, ao sach bolein”
Zahir Ki Aankh Se Nah Tamasha Karay Koi

Zahir Ki Aankh Se Nah Tamasha Karay Koi
Ho Dekhna To Deedaa Dil Wa Karay Koi
Mansoor Ko Howa Lab, Goya Payam Mout
Ab Kya Kisi Ke Ishhq Ka Daawa Karay Koi Continue reading “Zahir Ki Aankh Se Nah Tamasha Karay Koi”
Hamary armaano se sajao

Hamary armaano se sajao, shah-e wqat aur mehal banao
Apna to foot path thikana, dekh ke hmain mat sharmao
Usay kehna Juft aur taaq

Usay kehna
Juft aur taaq ka nahi
ham se koi wasta
hmain to jab lagi zarb lgai
aur bas taqseem hoye
Chalay thy jinhain dekh kr

Chalay thy jinhain dekh kr kehny laga bacha
Baba mere hathon main sitary to nahi hain
Mein dil pay jabar karoon ga tujhy bhala dun ga

Mein dil pay jabar karoon ga tujhy bhala dun ga
Maroon ga khud bhi thuje bhi kari saza dun ga
Yeh tayragi maray ghar ka hi kyun muqaddar ho
Mein tairay shehar ke saaray diye bujha dun ga Continue reading “Mein dil pay jabar karoon ga tujhy bhala dun ga”
Dhondta phirta hon aey Iqbal

Dhondta phirta hon aey Iqbal apny aap ko
Aap ki goya musafir, aap hi manzil hon main