Mein dil pay jabar karoon ga tujhy bhala dun ga

mohsin naqvi poetry

Mein dil pay jabar karoon ga tujhy bhala dun ga
Maroon ga khud bhi thuje bhi kari saza dun ga

Yeh tayragi maray ghar ka hi kyun muqaddar ho
Mein tairay shehar ke saaray diye bujha dun ga

Sun-hwa ka haath bataon ga har tabahi mein
Haray shajar se parinday mein khud ura dun ga

Wafa karoon ga kisi sogwaar chehray se
Purani qabar pay kutba naya saja dun ga

Isi khayaal mein guzri hai shaam dard aksar
Ke dard hadd se barhay ga to muskura dun ga

To aasman ki soorat hai gir parre ga kabhi
Zamee hon mein bhi magar tujh ko aasra dun ga

Barha rahi hain maray dukh nishanain teri
Mein tairay khat tri tasweer taq jal

Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments