Zahir Ki Aankh Se Nah Tamasha Karay Koi
Ho Dekhna To Deedaa Dil Wa Karay Koi
Mansoor Ko Howa Lab, Goya Payam Mout
Ab Kya Kisi Ke Ishhq Ka Daawa Karay Koi
Ho Deed Ka Jo Shoq To Aankhon Ko Band Kar
Hai Dekhna Yahi Ke Nah Dekha Karay Koi
Main Intihaye Ishhq Hon, Tu Intihaye Husn
Dekhe Mujhe Ke Tujh Ko Tamasha Karay Koi
Izr Afreen Jurm Mohabbat Hai Husn Dost
Mehshar Mein Izr Taaza Nah Peda Karay Koi
Chupati Nahi Hai Yeh Naghe Shoq Hum Nashen !
Phir Aur Kis Terhan Aُnhin Dekha Kere Koi
Urr Baithy Kya Samajh Ke Bhala Tor Par Kaleem
Taaqat Ho Deed Ki To Taqaza Kere Koi