Dil mein ab yun tere

faiz ahamd faiz urdu ghazal poetry

Dil mein ab yun tere bhoolay hue gham atay hain
Jaisay bichhre hue kaaba mein sanam atay hain

Aik ik kar ke hue jatay hain tarre roshan
Meri manzil ki taraf tairay qadam atay hain

Raqs me taiz karo saaz ki le taiz karo
Soye me khanah safeeran-e haram atay hain

Kuch hamein ko nahi ahsaan uthany ka dimagh
Woh to jab atay hain mael bah karam atay hain

Aur kuch der nah guzray shab furqat se kaho
Dil bhi kam dukhkta hai woh yaad bhi kam atay hain

Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments