Main ne samandar se sekha

Main ne samandar se sekha hai jene ka saleeqa
Chup chap se behna, apni mouj main rehna
Kabhi jo zindagi ka goshwara

Kabhi jo zindagi ka goshwara dekhta hun main
Tu har mad main khasara hi khasara dekhta hun main
Wekh bandya aasmana ty urday panchi

Wekh bandya aasmana ty urday panchi
Wekh ty sai ki kardy nay
Na o krdy rizq zakheera
Na o bhuky mardy nay Continue reading “Wekh bandya aasmana ty urday panchi”
Ae naye saal bta, tujh mein naya pan kya hai ?

Ae naye saal bta, tujh mein naya pan kya hai ?
Har taraf khalq ny kyun shoar macha rakha hai
Roshni din ki wohi taron bhari raat wohi
Aaj hum ko nazar aati hai har aik baat wohi Continue reading “Ae naye saal bta, tujh mein naya pan kya hai ?”
Bety hain apny baap ki

Bety hain apny baap ki jageer ke raqeeb
Wo ghar bhi koi ghar hai jis main betian na hon
Laga kar aag shehr ko

Laga kar aag shehr ko ye badshah ne kaha
Utha hai dil main tamashe ka aaj shoq bohat
Jhuka kar sar ko sabhi shah parast bol uthay
Huzoor ka shoq salamat rahy, shehr aur bohat
Juda phoolon ko karne ki

Kaha is ne ke shaakhon se
Juda phoolon ko karne ki
Hawaon ki jo saazish hai
Usay achi nahi lagti
Faqat ik pal ko jee chaha Continue reading “Juda phoolon ko karne ki”
Tamam log akailey

Tamam log akailey, koye rehbar hi na tha
Bicharnay walon mein ik mera hamsafar hi na tha
Barhana shakhon ka jungle gara tha aankhon mein
Woh raat thi ke kahin chand ka guzar hi nah tha Continue reading “Tamam log akailey”