Ae naye saal bta, tujh mein naya pan kya hai ?

Ae naye saal bta, tujh mein naya pan kya hai ?
Har taraf khalq ny kyun shoar macha rakha hai

Roshni din ki wohi taron bhari raat wohi
Aaj hum ko nazar aati hai har aik baat wohi

Aasman badla hai afsos, na badli hai zamee
Aik hindsay ka badalna koi jiddat to nahi

Aglay barson ki terhan hon ge qareene tairay
Kisay maloom nahi baara mahinay tairay

January , february aur march mein parre gi sardi
Aur april , may aur june mein ho gi garmi

Tera mann deher mein kuch khoye ga kuch paye ga
Apni meyaad basar kar ke chala jaye ga

To naya hai to dikha subah nai, shaam nai
Warna inn aankhon ny dekhey hain naye saal kayi

Be sabab log dete hain kyun mubarak badin
Ghaliban bhool gaye waqt ki karvi yaaden

Teri aamad se ghatti umar jahan se sab ki
Faiz ny likhi hai yeh nazam nirale dhab ki

Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments