Wohi Karwan, Wohi Raastay

Wohi Karwan, Wohi Raastay Wohi Zindagi Wohi Marhalay
Magar Apne Apne Maqam Par Kabhi Tum Nahi Kabhi Hum Nahi
Wohi Karwan, Wohi Raastay Wohi Zindagi Wohi Marhalay
Magar Apne Apne Maqam Par Kabhi Tum Nahi Kabhi Hum Nahi
Gharz Ke Kaat Diye Zindagi Ke Din Ae Dost
Woh Teri Yaad Mein Hon Ya Tujhe Bhulane Mein
Ba Mohazzab Hai Zindagi Apni
Diya Apna Hai Roshni Apani
Sar Pe Topi Hai Haath Me Hai Qalam
Kitni Dilkash Hai Sadgi Apni
Mazhab O Zat Ki Nahi Hai Khabar
Kitni Pakeezah Dosti Apni
Jhooth Aaye Kabhi Zaban Pe Na
Qaem Rakhni Hai Bartari Apni
Dusron Se Mujhe Hai Kya Lena
Roza Apna Namaz Bhi Apni
Chal Bhi Sakte Hain Ur Bhi Sakte Hain
Asma Apna Hai Zameen Apni
Mai Sunata Hun Geet, Naghma,ghazal
Dhun Bhi Apni Hai Ragni Apni
Dhoop Mein Niklo Ghataon Mein Naha Kar Dekho
Zindagi Kya Hai Kitabon Ko Hata Kar Dekho