102 poems · 35 poets
Sab Ko Ham Bhol Gaye Josh-E Junoon Mein Lekin Ik Teri Yaad Thi Aesi Jo Bhulai Na Gayi
Kar raha tha gham jahan ka hisaab Aaj tum yaad be hisaab aaye
Ujalay apni yaado ke hamaray sath rehne do Nah jane kis gali mein zindagi ki shaam ho jaye
Haqeeqton ka taswur mahaal lagta hai Kisi ki yaad main rehna kamal lagta hai
Khuda jane kyun Teri yaad bohat bemaar thi guzashta raatSaari raat uss ke maathey par Thanday pani ki patti rakh kar
Aa gayi yaad sham dhalty he Bujh gaya dil chiragh jalaty he
Aik Muddat Se Tri Yaad Bhi Aayi Nah Hamein Aur Hum Bhool Gaye Hon Tujhe Aisa Bhi Nahi
Na Zameen Hai Meri Qarar Gah, Na Falak Hai Manzal-e Jazb e Dil Bari Dair Se Hai Safar Mera, Teri Yaad Se Teri Yaad Tak
Zakhmi Hai Dil Magar Dawa Ki Talabb Nahi Khuhsi Gawara Nahi Haan Kisi Sabab NahiMaliye Magar Zara Katra Kar Milein Huzoor Ab Munkar-e Wafa Hon Wohi Ba Adab NahiMartay Hain Roz Kayi Log Raah E Wafa Mein Yun Unkee Qabar Par Koi Naam Nahi Kutba Nasb Nahi
Abhi Bhi Chaand Raton Mein Yahan Pariyan Utarti Hain Amavas Mein Abhi Bhi Noor Mere Sath Chalta HaiHawae Ab Bhi Mujh Ko Der Taq Lori Sonaati Hain Fizayen Ab Bhi Mere Sath Mil Ko Gungunahteen Hain
Yaad Rakhna Hi Mohabat Mein Nahi Hai Sab Kuch Bhol Jana Bhi Bari Baat Hoya Karti Hai
Zindagi Jabr-E Musalsal Ki Tarah Kaati Hai Jane Kis Jurm Ki Payi Hai Saza Yaad Nahi
Gharz Ke Kaat Diye Zindagi Ke Din Ae Dost Woh Teri Yaad Mein Hon Ya Tujhe Bhulane Mein
Kon Uthaye Ga Tumhari Yeh Jfaa Mere Baad Yaad Aaye Gi Bohat Meri Wafa Mere Baad
Koi Yaado Se Jor Le Hum Ko Hum Bhi Ik Toot-Ta Sa Rishta Hain
Bhol Hoyi Sada Hun Mujhe Yaad Kijiye Tum Se Kahin Mila Hun Mujhe Yaad Kijye
Tanhaiyan Tumhara Pata Pochti Rahen Shab Bar Tumhari Yaad Ne Sone Nahi Diya
Shab-e-gham Ki Barish Main Tera Aks Nazar Aata Hai Teri Yaadon, Teri Baaton Ka Raks Nazar Aata Hai
Rehta Hai Ibadat Mein Moat Ka Khatka Ham Yaad Khuda Karte Hain Ke Kr La Ne Khuda Yaad
Mein Sochta Hon Magar Yaad Kuch Nahi Aata Ke Ekhtataam Kahan Khawab Ke Safar Ka Hua
Showing 40 of 102