Dil kuch bhi nahi

Rooh chhalni chhalni
Badan lahoo lahoo hai
Yeh jora naya nahi
Mein ne karaya isay rafo hai
Read More […]
Rooh chhalni chhalni
Badan lahoo lahoo hai
Yeh jora naya nahi
Mein ne karaya isay rafo hai
Read More […]
Kya koi saza bhugat rha hai yh dil
Maut tak jo musalsal dharak rha hai yh dil
Tune tou hath thama tha humara zindagi bhar k liye
Phir kyun tanha bhatak rha hai yh dil ?
Laut k ao ge kabhi tum yhi umeed hai
K ab bhi betahasha tarap rha hai yh dil
Kuch aesy kaam ab kar jaon ga main
dil ki rahon se utar jaon ga main
meri ta’amer main saraf hoye hain zarrat
chona mat mujhy bikhar jaon ga main
tanhai ki ho jaye gi itni aadat mujhy
apny hi saaye se dar jaon ga main
Dunya Ne Tajurbaat O Hwadis Ki Shakal Mein
Jo Kuch Muje Diya Hai Wo Luta Raha Hun Mein
Ab Aur Kya Kisi Se Marasam Barhyen Ham
Ye Bhi Bohat Hai Tuj Ko Agar Bhol Jayen Ham
Jab Milo Kisi Se Tu Zara Door Ki Yaari Rakhna
Jaan Lewa Hote Hain Aksar Sene Se Lagane Wale
Usay kehna
Juft aur taaq ka nahi
ham se koi wasta
hmain to jab lagi zarb lgai
aur bas taqseem hoye