130 poems
Bara Samajh Daar Tha Lekin Uss Ke Zehen Mein Koi Baat Atki Thi Uss Ke Lehjey Se Zahir Tha Ke Ussay Koi Baat Khadki ThiBara Ahem Tha Yahi Mera Vahm Tha Uss Naay Meri Aankhon Par Baandh Rakhi Jo Patti Thi
Tera Gham Kisi Ki Jaan Par Ban Gaya Hai Tera Zulm Batata Hai Ke Tu Jalad Ban Gaya Hai
Us Ne Goya Mujhi Ko Yaad Rakha Mein Bhi Goya Usi Ko Bhol Gaya
Sokhe Paton Ki Tarah Bikhre Hain Ham Tu Kisi Ne Smeta Bi Tu Sirf Jilane Ke Liye
Ik Lamha Tha Ke Aarsa Ho Gaye Ik Aarsa Tha Ke Lamha Nahi Hoye
Wo Khat Ju Tum Ne Kabi Likha Hi Nahi Mein Roz Beth Kar Us Ka Jawab Likhta Hun
Bara Shoq Tha Unhain Mera Aashiana Dekhne Ka Jab Dekhi Meri Gharebi Tu Rasta Badal Lya
Is Qadar Khamoshi Hai Charon Taraf Zehan Sochay Tu Shor Hota Hai
Ab K Barish Mein Tu Ye Kar-e Zyan Hona Hi Tha Apni Kachi Bastion Ko Be-Nishan Hona Hi Tha
Ghazal Faza Bhi Dhondti Hai Apne Khas Rang Ki Hamara Masla Faqt Qalam Dawat Hi Nahi
Dekhna Hashar Mein Jab Tum Pe Machal Jaon Ga Mein Bhi Kya Vaada Tumhar Hun Keh Tal Jaon Ga
Ab Apna Ikhtiar Hai Chahy Jahan Chlain Rehbar Se Apni Rah Juda Kar Chuke Hain Ham
Waqt Zaya Na Karo Ham Nahi Aesay Wesay Ye Ishara Tu Mujhe Us Ne Kayi Bar Diya
Keh Diya Tu Ne Jo Masoom Tu Ham Hain Masoom Keh Diya Tu Ne Gunah-Gar Gunah-Gar Hain Ham
Ghair Se Nafrat Jo Pali Kharch Khud Par Ho Gyi Jitney Ham Thy Ham Ne Khud Ko Us Se Aadha Kar Liya
Dastak Tu Bari Baat Hai, Tum Jab Se Gye Ho Is Ghar Ke Darichon Se Hawa Tak Nahi Aati
Muj Ko Dekho Mere Marne Ki Tamnna Dekho Phir Bhi Hai Tum Ko Masehai Ka Dawa Dekho
Wo Khwab me bhi Nahi Mayas’sar HijaaB ki Inteha to Dekho
Tiktiki Bandh Ke Mein Dekh Raha Hun Jis Ko Ye Bhi Ho Sakta Hai Wo Samne Betha Hi Na Ho
Zindagi Se Yehi Gila Hai Muje Tu Bohat Dair Se Mila Hai Muje
Showing 80 of 130