130 poems
Chand Ke Sath Kye Dard Purane Nikle Kitne Gham They Jo Teray Gham Ke Bahane Nikle
Thake Logo Ko Majbori Mein Chalet Dekh Leta Hun Main Bus Ki Kharkion Se Ye Tamashe Dekh Leta Hun
Jo Dekhta Hon Wohi Bolne Ka Aadi Hun Mein Apne Shehr Ka Sab Se Bara Fisadi Hun
Talash Muj Ko Na Kar Dasht-e Rehbar Main Nigah-e Dil Se Dekh Teray Kitna Qareeb Hon Main
Hoye Mar Ke Ham Jo Ruswa Hoye Kun Na Gharq Darya Na Kabi Janaza Uthta Na Kahen Mazar HotaRead Complete Ghazal
Titlyan Jugnu Sabhi Ho Gey Mgar Dekhe Ga Kon Ham Saja Bhi Len Agar Dewar Magar Dekhe Ga Kon
Iqbal Teri Qoum Ka Iqbal Kho Gya Mazi Tu Sunehra Tha Haal Kho Gya Wo Rob-o Dab-dba Wo Jalal Kho Gya Wo Husn-e Be Misal Wo Jamal Kho Gya
Hasti Hi Apni Kya Hai Zaman Eke Saamne Ik Khwab Hain Jahan Mein Bikhar Jayen Ham Tu Kya
Muj Ko Khwahish Hi Dhondne Kin A Thi Muj Mein Khoya Raha Khuda Mera
Apni Zuban Se Kuch Na Kahen Gey Chup Hi Rahen Gey Aashiq Log Tum Se Tu Itna Ho Sakta Hai Pocho Haal Becharon Ka
Aur Bhi Dukh Hain Zamane Mein Mohabat Ke Siwa Rahaten Aur Bhi Hain Wasal Ki Rahat Ke Siwa
Nazar Jo Muj Se Mila Kar Gya Hai Mere Hosh Wo Ura Kar Gya HaiUs Ke Siwa Kuch Yaad Nahi Har Naqsh Zehan Se Mita Kar Gya Hai
Apno Ki Chahton Mein Milawat Thi Is Qadar Tang Aa Ke Dushmano Ko Manane Chala Gya
Bikhri Kitabain, Bhege Awraq, Aur Ye Tanhai Kahon Kese Keh Mila Mohabbat Mein Kuch Bi Nahi
Teri Rah Par Bicha Kar Aankhein Ham Neend Ka Ghar Ujar Bethe Hain
Dil Chahta Hai Ke Dhoke Se Zehar De Don Aaj Sab Khawhishon Ki Dawat Kar Ke
Ham Ne Tu Khud Se Intiqam Lya Tum Ne Kya Soch Kar Mohabat Ki
Ghazab Ki Dhoop Thi Tanhaion Ke Jungle Mein Shajar Bohat They, Mgar Koi Saya-dar Na Tha
Jab Kisi Aur Ke Hon Ge Ham Bhi Phir Tera Ghuror Tote Ga
Dekha Aina Tu Phir Jazbon Ka Yun Izhar Hoa Wo Shakhs Phir Se Mere Samne Ashkbar HoaDukh Mai Raat Kati Tu Swera Bi Madham Sa Rha Tanhiyon Ke Sog Ka Charcha Bi Shmar Hoa
Showing 120 of 130