Skip to content
SadPoetry
EN

Tumhare Khat Mein Naya Ik Salam Kis Ka Tha? – Daagh Dehlvi

Daagh Dehlvi Ghazal 7 couplets
Share
Make a card
  1. Tumhare Khat Mein Naya Ik Salam Kis Ka Tha? Na Tha Raqeeb To Aakhir Wo Naam Kis Ka Tha?

  2. Wo Qatal Kar Ke Mujhe Har Kisi Se Poochte Hain Ye Kaam Kis Ka Hai? Ye Kaam Kis Ka Tha?

  3. Wafa Karein Ge, Nibhaen Ge, Baat Maanain Ge Tumhein Bhi Yaad Hai Kuch, Ye Kalaam Kia Ka Tha?

  4. Raha Na Dil Mein Wo Be_Dard Aur Dard Raha Muqeem Kon Hua Hai, Maqaam Kis Ka Tha?

  5. Na Pooch Gach Thi Kisi Ki Wahan Na Aao Bhagat Tumhari Bazm Mein Kal Ehtamam Kis Ka Tha?

  6. Tamam Bazam Jisy Sun Ke Reh Gai Mushtaaq Kaho Wo Tazkara-E-Naa Tamam Kis Ka Tha?

  7. Guzar Gaya Wo Zamana, Kahoon To Kis Se Kahoon? Khayal Dil Ko Mere Subh-O-Shaam Kis Ka Tha?

Report a mistake

More by Daagh Dehlvi

All poems