40 poems · 8 poets
Ye Aankh Jab Zara Nam Ho Aur Barish Ka Mosam Ho Muje Lahaq Tera Gham Ho Aur Barish Ka Mosam HoUdasi Jam Si Jati Hai Kisi Barf Ki Manind Khayalon Main Agar Tum Ho Aur Barish Ka Mosam Ho
Taiz Barish Mein Kabhi Sard Hawaon Me Raha, Ik Tera Zikr Tha Jo Meri Sadaon Mein Raha,Kitne Logon Se Mere Gehre Marasim Hain Magar, Tera Chehra Hi Faqat Meri Du’aon Me Raha….
Dor Tak Chaye Thay Badal Aur Kahen Saya Na Tha Is Tarah Barsat Ka Mosam Kabhi Aya Na Tha
Boondon ny gir kay gazab sa hai daala Mosam main mosam ajab sa hai daala Ye barish ka baadal bhi mujh sa hai ‘RANJ’ Jo chalka zara , sab badal sa hai daala
Barish Ki Ye Pehli Boondain Kesa Jadu Kartee Hain Dil Say Khoon K Katray Lay Kar Meri Ankhain Bhartee Hain Barish K Is Deerachay Say Kitnay Manzar Khultay Hain Khwab Sa Alum, Lehja Madham, Aankhain Nam Nam, Bheega Mausam, Pehli Barish,Pehli Khuwahish,Pehla Jazba, Pehla Waada, Pehli Khushbu, Pehla Aansoo, Chup Chup Rehna
Wo yada b ab k aya ha,or jaag uthi ha kuhawish b Taza Dard, sard hawa or saal ki pehli barish b
Ae Barish Baras, Barsh Aur Baras Aaj Tu Us Ki Yaadon Ko Baha Le Ja
Ye Husn-e Mosam, Ye Barish, Ye Hawain Lagta Hai Mohabat Ne Aaj Kisi Ka Sath Dya Hai
Pata ha mjy Yaa Barishay kun pasand hain Yaa Barasteey hain Udaas loogo ki Tarha..
Kal Ki Us Barish Main Phir Wohi Sa Manzar ThaPhir Wohi Si Bondain Thi Phir Wohi Si Thandak Thi
Tez Barish Mai Khara Hon Wo Ik Jumla Sun’ne Ko Are Idhar Aao…Bheg Jao Gaay
Jab Barish Barsa Karti Hai Aur Har So Pani Hota HaiHam Apne Ghar K Aangan Main Amar Bail Ke Saye Main
Is Barish Ke Mosam Main Ajeeb Se Kashish Hai Na Chahte Hoye Bi Koi Shidat Se Yaad Aata Hai
Hm tanha thy jb barish ny dastak de darwazy per Humain yu laga k tum aye hoANDAZ tumhary jesa tha Hm tanha thy jb raho ma ak jhonky ny mra sat diaHumain yu laga k tum aye ho ANDAZ tumhary jesa thaNa rahe barish Na raha jhonka Sub chor gai mujko tanha
Barish Ki Taiz Boondon Ne Jab Dastak Di Darwaze Par Mehsoos Huwa Tum Aaye Ho, Andaz Tumhare Jaisa ThaHawa Ke Halke Jhonke Ki Jab Aahat Huwi Khirki Par Mehsoos Huwa Tum Aaye Ho, Andaz Tumhare Jaisa ThaMain Tanha Chala Jab Barish Mein, Ek Jhonke Ne Mera Saath Diya Main Samjha Tum Ho Saath Mere, Ehsaas Tumhare Jaisa ThaPhir Ruk Gayi Woh Barish Bhi, Rahi Na Baqi Aahat Bhi Main Samjha Mujhe Tum Chhor Gaye, Andaz Tumhare Jaisa Tha
Aaj Bi Wesa Hi Mosam Hai Aaj Bi Wese Hi Badal HainAaj Bi Wesi Hi Barish Hai Jab Ham Pehli Bar Milay ThyYad He Ham Ne Ye Socha Tha Ham Ko Milte Dekh Ke MosamItna Khush Hai, Itna Khush Ke Is Ki Aankhein Bheig Gayen Hain
Muhabat Tu Barish Hai Jisay Chohne Ki Khawish Main Hathalian Gheli Ho Jati Hain Magar Haath Hamesha Khali He Rahte Hain…
Jo Barish Ki Tamana Hai Tu In Ankhon Main Aa Betho Wo Barson Main Kehain Barsain Ye Barson Se Barasti Hai
Yoon hi mosam ki ada dekh ke yaad aya hai Kis kadar jald badal jate hain insaan janaan
Woh Jise Barish Pasand Na Thi, Najane Kion? Aj Dair Tak Tanha,December Ki Barish me bheegta Raha…
Showing 40 of 40