Trapta Bi Tu Dekhon

Sehra Ki Tarah Rehte Hoye Thak Gai Aankhen
Dukh Kehta Hai Ab Koi Darya Bi Tu Dekhon
Ye Kya Ke Wo Jab Chahe Muje Chen Le Mujh Se
Apne Liye Wo Shakhs Tarpta Bi Tu Dekhon
Sehra Ki Tarah Rehte Hoye Thak Gai Aankhen
Dukh Kehta Hai Ab Koi Darya Bi Tu Dekhon
Ye Kya Ke Wo Jab Chahe Muje Chen Le Mujh Se
Apne Liye Wo Shakhs Tarpta Bi Tu Dekhon
Yeh Nazar Muntazir Hai Teri Aj Bhi
Dil Kisi Or Sy Aashnaa Hi Nahi
Ma Kiun Rasta Dun Kisi Aur Ko
Jab Koi Tery Jaisa Bana Hi Nahi
Submitted By: Umair Shehzad
Jene Ka Haq Saamraj Ne Chen Liya
Utho Marne Ka Haq Istemal Karo
Zilat Ke Jene Se Marna Behtar Hai
Mit Jao Ya Qasr-E Satam Pamal Karo
Guzar Gye Hain Bohat Din Rafaqat-e Shab Mein
Ik Umar Ho Gyi Chehra Wo Chand Sa Dekhe
Tere Siwa Bi Kyi Rang Khush Nazar They Mgar
Jo Tuj Ko Dekh Chuka Ho Wo Aur Kya Dekhe
Pass Rah Kar Judai Ki Tuj Se
Dor Ho Kar Tuje Talash Kia
Mein Ne Tera Nishan Gum Kar Ke
Apne Andar Tuje Talash Kia
Poet: Jaun Elia
Ye Aankh Jab Zara Nam Ho Aur Barish Ka Mosam Ho
Muje Lahaq Tera Gham Ho Aur Barish Ka Mosam Ho
Udasi Jam Si Jati Hai Kisi Barf Ki Manind
Khayalon Main Agar Tum Ho Aur Barish Ka Mosam Ho
Ye Zabt Choot Gaya Tu Tumhari Yaad Ayi
Main Thak Ke Toot Gaya Tu Tumhari Yaad Ayi
Tumhare Baad Na Tha Koi Mera Dil Ke Siwa
Ye Dil Bi Roth Gaya Tu Tumhari Yaad Ayi
Na Tu Zamain Ke Liye Hai Na Aasman Ke Liye
Jahan Hai Tere Liye Tu Nahi Jahan Ke Liye
Nishan-e Rah Dikhate Thay Jo Sitaron Ko
Taras Gye Hain Kisi Mard-e Rah Dan Ke Liye