Bachpan ki waadi main

Kaash main lot jaon bachpan ki waadi main
Na koi zarorat thi, Na koi zarori tha
Kaash main lot jaon bachpan ki waadi main
Na koi zarorat thi, Na koi zarori tha
Ae bachpan tujhe yaad hai
Tera woh yun rotay rotay muskura dena tujhe yaad hai
Kaisay karoon mein bayan tujh ko
To ik hussain pal kaisay maamoor hua tujhe yaad hai
Hoti agar khwahish to pa lainay ka jazbah
Phir woh khushi se muyassar ya zid tujhe yaad hai
Read More […]
Aflaas ki basti main jaa kar tu dekho
Wahan bachy to hoty hain magar bachpan nahi hota
Kabhi rait ke onchay teelon pay jana
Gharonday banana, bana ke mitana
Woh masoom chahat ki tasweer apni
Woh khowaboon khilonon ki jageer apni
Nah duniya ka gham tha nah rishton ke bandhan
Barri khoob soorat thi woh zindagani
Bachpan Ki Wo Ameeri Na Janay Kahan Chali Gayi
Jab Paani Main Hamare Bhi Jahaaz Chala Kartay Thay
Is Gali Se Kabhi Mujhy Maan Ne Guzara Na Tha
Lagta Tha Jese Bazaar Ye Khilono Ka Tha
Kon Kehta Hai Waqt Dohrata Hai Apne Aap Ko
Gar Ye Sach Hai Tu Mera Bachpan To Lotaye Koi
Kuch Nahi Chahye Tuj Se Ae Umar-E Rawan
Mera Bachpan Mere Jugnu Meri Ghuriya La De