Mera Bachpan

Ae bachpan tujhe yaad hai
Tera woh yun rotay rotay muskura dena tujhe yaad hai
Kaisay karoon mein bayan tujh ko
To ik hussain pal kaisay maamoor hua tujhe yaad hai
Hoti agar khwahish to pa lainay ka jazbah
Phir woh khushi se muyassar ya zid tujhe yaad hai
To itna haseen, sir se qadam talak jhalak mein
To itna khamosh jisay andesha zawaal nah tha tujhe yaad hai
Asshk! Asshk aankhon mein kab ayen koy khabar nahi
Dil se kab rukhsat hoy koy khawashih tujhe yaad hai
Aesa chehra par noor tha goya shama thi roshan
Rutba husn mein shams o qamar se baala tar tujhe yaad hai
Gham ki koy zabaan nah thi
Jaisay zakhamo ka koy pemana nah tha tujhe yaad hai
Woh barish mein kaghaz ki kashti banana, dabona
Tumhari khushi phoolay nah samati tujhe yaad hai
Kitna nadaan o masoom tha to
Kaisay gul se khaar sun-hwa tujhe yaad hai
Tha apna hua paraya dekh ae bachpan
Kaisay chenna tujh se tera bachpan tujhe yaad hai
Khawab tha ya khayaal tha
Kaisay aankhon se oojhal hua tujhe yaad hai
Muddat hoy bachpan ko ’alvidah’ kiye
Kaisay jawan huve! Kaisay musibaton ne ghaira tujhe yaad hai
Jab se pari zama-daari tujh pay
Har raah nai manzil! Kathin safar tha tujhe yaad hai
Khabar nahi safar khaak mein kahan kahan hon mein
Kahin andheray to kahin ujalay tujhe yaad hai
Shehar sara so raha hai magar kisi ko ehsas tak nahi
Koy lipta hai dard mein to koy par sukoon! Tujhe yaad hai
Koy aata hai! Koy chala jata hai! Hai safar rawan dawaan
Koy mizban hai! To koy mehmaan tujhe yaad hai
Hain rishte sabhi mafaad ke jaisay azal se chala aa raha hai
Phir woh yousuf ke bhai hon! Ya ab ka bani noo insaan tujhe yaad hai
Hain adab ke taqazay yehi
Ke bint-e hawa ki koy qader nahi tujhe yaad hai
Niklay thay bahar chalne ko shana bshanh
To uchali gai izzat! Jaisay koy izzat apni apni nah thi tujhe yaad hai
Mar gaya zameer ya dar nah tha kkhuda ka
Peshawar thay hum! Ya ilm adab ke faqat tajir tujhe yaad hai
Chaltay chaltay guzaar di yun zindagi apni
Kahin khayaal tak nah aaya ke jhaank le gireybn apna tujhe yaad hai
Thak haar kar silwatein dull gai cheharon par
Kaisay zindagi ne ik aur chairag gul kya tujhe yaad hai
Palak jhapakty ujaarr di apni duniya Asad
Woh bastiyan jinhein basanay mein kayi zamane lagey tujhe yaad hai

Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments