Alfaaz gira dete hain

Alfaaz gira dete hain jazbaat ki qemat
Har baat ko alfaaz main tola nahi krty
Lo main aankhain band kiye leti hoon ab tum ruksat ho
Dil to jane kia kehta hai lekin dil ka kehna kia
Jawab deta hoon main bi Kamal Aankhon se
Wo le ke ate hain jab bhi sawal aankhon main
Zahid shrab pene de masjid main beth kar
ya phir wo jaga bta jahan khuda nahi
Masjid khuda ka ghar hai pene ki jagah nahi
kafar ke dil main ja wahan khuda nahi
Kafar ke dis se aya hoon main ye dekh ke
Khuda mojud he wahan par usay pta nahi
Hazaron gham zamany ke dra muj ko nahi sakte
Bahut mazboot hoon main bi rula muj ko nahi sakte
Tumhare dil main jo kuch hai kaho muj se mery dilbar
Sabi se dard kehte ho bta muj ko nahi sakte
Bewafai se preshan bi ho jate hain
narm johkne kabi tofan bi ho jate hain
ham ne mehbob jo badla to tajub kesa
log kafar se musalman bi ho jate hain
Tumhare Khat Mein Naya Ik Salam Kis Ka Tha?
Na Tha Raqeeb To Aakhir Wo Naam Kis Ka Tha?
Wo Qatal Kar Ke Mujhe Har Kisi Se Poochte Hain
Ye Kaam Kis Ka Hai? Ye Kaam Kis Ka Tha?
Wafa Karein Ge, Nibhaen Ge, Baat Maanain Ge
Tumhein Bhi Yaad Hai Kuch, Ye Kalaam Kia Ka Tha?
Raha Na Dil Mein Wo Be_Dard Aur Dard Raha
Muqeem Kon Hua Hai, Maqaam Kis Ka Tha?
Na Pooch Gach Thi Kisi Ki Wahan Na Aao Bhagat
Tumhari Bazm Mein Kal Ehtamam Kis Ka Tha?
Tamam Bazam Jisy Sun Ke Reh Gai Mushtaaq
Kaho Wo Tazkara-E-Naa Tamam Kis Ka Tha?
Guzar Gaya Wo Zamana, Kahoon To Kis Se Kahoon?
Khayal Dil Ko Mere Subh-O-Shaam Kis Ka Tha?