Ik Khawab Musalsal Ata Hai

khwab-poetry

Ik Khwab Musalsal Aata Hai
Tera Chehra Neend Sjata Hai

Pholon Pe Bhanwre Ki Manind
Mere Dil Ko Wo Behlata Hai

Aankhon Ke Surmai Rangon Se
Mere Man Ko Rah Dikhata Hai

Apne Lams Ki Bheni Khushbu Se
Mere Ihsas Ko Wo Mehkata Hai

Dharkan Ke Sar Aur Sargam Pe
Wo Muj Ko Geet Sunata Hai

Chand Se Le Kar Husn-e Soghat
Wo Muj Ko Har Pal Behlata Hai

Apne Sanson Ki Dhemi Aanch Pe
Mere Tan Ko Wo Sulgata Hai

Ik Khwab Musalsal Aata Hai
Tera Chehra Neend Sjata Hai

Submitted By: Shabeeb Hashmi

Insha Ne Phir Ishq Kia

Ibne-Insha-ghazal

Wada Tu Kya Hai Mgar Aefa Na Kren Gey
Aefa Jo Krain Gey Koi Acha Na Kren Gey
Logo Se Chupa Le Gey Jo Ahwal Hai G Ka
Apne Se Kisi Baat Mai Dhoka Na Kren Gey
Ae Dil Tere Farmano Ko Tala Hai Na Talain
Un Ki Bi Tere Samne Parwa Na Kren Gey
Is Rah Ko Ham Chor Ke Jayen Kisi Janab
Azarda Na Ho… Ham Kabi Aesa Na Kren Gey
Likhain Gey Usi That Se Nazmain, Kabi Ghazalain
Han Aaj Se Logo Ko Dikhaya Na Kren Gey

Submitted By: aleeha

Makhmoor Raha Hoon

urdu-shayari

Taswar Mai Tere Hmesha Makhmor Rha Hon
Tu Mera Ham Nishain Hai Bohat Maghror Rha Hon

Dil Ke Nigar Khane Mai Tuj Ko Sja Lia Hai
Yun Ulfat Ki Dunya Mai Bohat Mashor Rha Hon

Charcha Hai In Hwaon Mai Ab Meri Wafaon Ka
Sab Jante Hain Ishq Mai Tere Chor Rha Hon

Apne Jo Sabhi Khwab Thay Tere Naam Likh Diye
Yun Dil Ke Hathon Apne Bohat Majbor Rha Hon

Tere Ishq Ka Sadqa Hai Ke Jete Hain Aaj Tak
Bin Tere Sanam Gham Se Bohat Ranjor Rha Hon

Submitted By: Shabeeb