The poem
Read it in Urdu script-
Ik Khwab Musalsal Aata Hai Tera Chehra Neend Sjata Hai
-
Pholon Pe Bhanwre Ki Manind Mere Dil Ko Wo Behlata Hai
-
Aankhon Ke Surmai Rangon Se Mere Man Ko Rah Dikhata Hai
-
Apne Lams Ki Bheni Khushbu Se Mere Ihsas Ko Wo Mehkata Hai
-
Dharkan Ke Sar Aur Sargam Pe Wo Muj Ko Geet Sunata Hai
-
Chand Se Le Kar Husn-e Soghat Wo Muj Ko Har Pal Behlata Hai
-
Apne Sanson Ki Dhemi Aanch Pe Mere Tan Ko Wo Sulgata Hai
-
Ik Khwab Musalsal Aata Hai Tera Chehra Neend Sjata Hai
Submitted by Shabeeb Hashmi


