The poem
Read it in Urdu script-
Gham se gham ka soda karna thek nahi Aao sukh se sukh ko tolain behtar hai
-
Dekho tum is sard rawiye ko choro Aik hi raah ko dono ho lein behtar hai
-
Tum mujh ko choray jany ki baat karo Aur ham tum ko kuch na bolain, behtar hai
-
Hai jis jis ke dil main nafrat ki girhain Saray gar wo gunjhal kholain, behtar hai
Submitted by Salman Ahmad Awan


