The poem
Read it in Urdu script-
Yeh theek hai ke bohat wahishten bhi theek nahi Magar hamari zara aadaten bhi theek nahi
-
Agar milo to khulay dil ke sath hum se milo Ke rasmi rasmi si yeh chahtein bhi theek nahi
-
Taluqaat mein gahrayiaan to achi hain Kisi se itni magar kurbateen bhi theek nahi
-
Dil o dimagh se gayal hain tairay hijar naseeb Shakista dur bhi hain un ki chhtin bhi theek nahi
-
Qalam utha ke chalo haal dil hi likh daalo Ke raat din ki bohat furqatan bhi theek nahi
-
Tum aitbar prishan bhi un dinon ho bohat Dikhayi parta hai kuch shbaahtain bhi theek nahi
Submitted by iqbal designs


