Ik Naye Darya Ki Aarzo

Honton Ko Roz Ik Naye Darya Ki Aarzo
Le Jaye Gi Ye Payas Ki Awargi Kahan
Ham Ye Tu Nahi Kehte Ke Ham Tujh Se Bare Hain
Lekin Ye Bohat Hai K Tere Sath Khare Hain
Apne Chchre Se Jo Zahir Hain Chupayen Kese
Teri Marzi Ki Mutabiz Nazar Ayen Kese
Wo Mere Ghar Nahi Aata Mein Uske Ghar Nahi Jata
Magar In Ihtiaton Se Ta’aluq Mar Nahi Jata
Wese Tu Ik Aanso Hi Baha Kar Mujhe Le Jaye
Aesay Koi Tufan Hila Bhi Nahi Sakta
Tujhe Paane Ki Koshish Mein Kuch Itna Kho Chuka Hun Mein
Ke Tu Mil Bhi Agar Jaye Tu Ab Milne Ka Gham Ho Ga
Tehreer Se Warna Meri Kya Ho Nahi Sakta
Ik Tu Hai Jo Lafzon Mein Ada Ho Nahi Sakta