Teri sorat se hai aalim main

Teri sorat se hai aalim main baharon ko sabat
Teri aankhon ke siwa dunya main rakha kia hai
Teri sorat se hai aalim main baharon ko sabat
Teri aankhon ke siwa dunya main rakha kia hai
Sab qatal ho ke tere muqabil se aaye hain
Ham log surkharo hain ke manzil se aye hain
Mohabat Karne Walon Ki Tajarat Bhi Anokhi Hai
Manafa Chor Dete Hain Khasaray Baant Lete Hain
Mataa Looh O Qalam Chinh Gayi To Kya Gham Hai
Ke Khoon Dil Mein Dabo Li Hain Unglian Main Ne
Zuban Pay Mohar Lagi Hai To Kya Ke Rakh Di Hai
Har Aik Halqa Zanjeer Mein Zuba Mein Ne
Juda Thay Ham To Mayasar Thi Qurbatain Kitni
Beham Hoey To Pari Hain Judaiyan Kya Kya
In Main Laho Jala Ho Hamara Keh Jan-o Dil
Mehfil Main Kuch Chiragh Firozan Hoye Tu Hain
Phir Nazar Mein Phool Mehkay Dil Mein Phir Shammen Jalein
Phir Tasawwur Ne Liya Is Bazm Mein Jane Ka Naam