Aankh Se Door Na Ho

Aankh Se Door Na Ho Dil Se Utar Jaye Ga
Waqt Ka Kya Hai Guzarta Hai Guzar Jaye Ga
Aankh Se Door Na Ho Dil Se Utar Jaye Ga
Waqt Ka Kya Hai Guzarta Hai Guzar Jaye Ga
Mere Sabr Ki Intiha Kia Pochte Ho Faraz
Wo Muj Se Lipat Ke Roya Kisi Aur Ke Liye
Log Pathar Ke Buton Ko Poj Kar Bi Masoom Rahe Faraz
Ham Ne Ik Insan Ko Chaha Aur Gunehgar Ho Gaye
Ab Tere Zikar Pe Ham Baat Badal Dete Hain
Kitni Raghbat Thi Tere Naam Se Pehle Pehle
Ab To Hamain Bi Tark-e Mrasam Ka Dukh Nahi
Par Dil Ye Chahta Hai Ke Aaghaz Tu Kare
Jo Zehar Pee Chuka Hun Tumhein Ne Muje Dia
Ab Tum Zindagi Ki Duaen Muje Na Do