Maan Ki Aik Dua Zindagi Dey Gi

Maan Ki Aik Dua Zindagi Dey Gi
Khud Roye Gi Tumhain Hansa Dey Gi
Kabhi Bhol Kar Bhi Maan Ko Na Rulana
Ik Choti Si Ghalti Pora Arsh Hila Dey Gi
Maan Ki Aik Dua Zindagi Dey Gi
Khud Roye Gi Tumhain Hansa Dey Gi
Kabhi Bhol Kar Bhi Maan Ko Na Rulana
Ik Choti Si Ghalti Pora Arsh Hila Dey Gi
Zara Si Choat Lagey, To Woh Ansoo Baha Deti Hai
Apni Sukoon Bhari Goad Mein Sula Deti Hai
Karte Hain Khafa Hum Jab To Chuttki Mein Bhula Deti Hai
Hotay Hain Khafa Hum Jab, To Duniya Ko Bhula Deti Hai
Mat Gustaakhi Karna Logo! Is Maa Se Kyun kay
Jab Woh Chore Ke Jati Hai To Kabhi Lout Ke Nahi Aati
Mein Choti Si Ik Bachi Thi
Teri Ungli Thaam Ke Chalti Thi
To Daur Nazar Se Hoti Thi
Mein Annsoon Ansoo Roti Thi
Khowaboon Ka Ik Roshan Basta
To Roz Mujhe Pehnati Thi
Jab Darti Thi Mein Raat Ko
To Apne Sath Sulati Thi
Read More […]
Chand Bacho Ko Pala Tha Mamta Ne Jatan Se
Mamta Ka Sila Phir Bhi Na Zaeefi Main Payi
Har Cheez To Taqseem Hoyi Baap Ke Martay
Ik Maan Thi Jo Hisay Main Kisi Ke Na Aayi
Maa Itna Bta Day Yeh Gham Kyun Uttha Raha Hon
Hai Kon Si Kami Jo Mujh Ko Saata Rahi Hai
Hai Kon Sa Woh Gham Jo Jee Ko Jala Raha Hai
Maa Itna Bta Day Yeh Gham Kyun Uttha Raha Hon
Read More […]
Mujh Ko Teri Dua Chahiye
Tairay Anchal Ki Thandhi Sun-hwa Chahiye
Lori Ga Ga Ke Mujh Ko Sulati Hai To
Muskura Kar Saweray Jagati To
Read More […]
Ghareeb Maan Apnay Bachon Ko Payar Se Yun Manati Hai
Phir Bana Lein Gey Naye Kapray Eid Tu Har Saal Aati Hai
Pochta Hai Jab Koi Ke Dunya Main Mohabat Kahan Hai
Muskara Deta Hun Main Aur Yaad Aa Jati Hai Maan