Ajnabi K Hain Ajnabi

Ye Jo Raat Din Mere Sath Hain, Wohi Ajnabi K Hain Ajnabi
Wo Jo Dharkno Ke Asas Thay, Wohi Log Muj Se Bichar Gaye
Ye Jo Raat Din Mere Sath Hain, Wohi Ajnabi K Hain Ajnabi
Wo Jo Dharkno Ke Asas Thay, Wohi Log Muj Se Bichar Gaye
Ik Naqsh Bi Idhar Se Udhar Na Hone Paye
Main Jesa Tmhain Mila Tha Muje Wesa Juda Kar Do
Firaq-E Yaar Ne Bey Chain Muj Ko Raat Bhar Rakha
Kabi Takkya Idhar Rakha Kabi Takkya Udhar Rakha
Main Tere Milne Ko Mojza Keh Raha Tha Lekin
Tere Bicharne Ka Saniha Bi Kamal Guzra
Pagal Pan Ki Sari Likerain Mere Hath Main Kun?
Jis Ku Chahon, Main Hi Chahon, Main Hi Chahon Kun?
Mein Ne Chaha Hai Tuje Aam Se Insan Ki Tarah
Tu Mera Khwab Nahi Hai Jo Bikhar Jaye Ga
Wo Aa Rahe Hain Wo Aate Hain Aa Rahe Hun Gey
Shab-e Firaq Ye Keh Kar Guzar Di Ham Ne
Usay Ye Kon Btlaye Usay Ye Kon Samjhaye
Bohat Khamosh Rehne Se Taluq Tot Jate Hain