Farishte Se Barh Kar Hai Insan

Farishte Se Barh Kar Hai Insan Ban’na
Magar Is Mein Lagti Hai Mehnat Zyada
Farishte Se Barh Kar Hai Insan Ban’na
Magar Is Mein Lagti Hai Mehnat Zyada
Toheed Tu Ye Hai k KHUDA Hashar mein Keh De
Ye Banda Zamane se Khafa Mere Liye Hai
Tera Ghurror-e Ibadat Tuje Na Le Dobe
Suna Hair Parhta Tha Iblees Bi Namaz Bohat
Mit jaaye gunaho ka tasawwur is jahaan se
Agar ho jaye yaqeen ke khuda dekh raha hai….
Submitted By: Zeeshanjaizzz
Woh Dana-e Subul Khatam ur Rusul Mola-e Kul Jis Ne
Ghubar-e Rah Ko Baksha Firogh-e Wadi e Sena
Nigah Ishq O Masti Mein Wohi Awal Wohi Aakhir
Wohi Quran, Wohi Furqan, Wohi Yaseen, Wohi Taha
Andheron Ko Noor Deta Hai, Zikr Us Ka Dil Ko Sroor Deta Hai
Us Ke Dar Se Jo Bi Mango, Wo Allah Hai Zroor Deta Hain
Kamre Ka Calendar Tu Badal Jata Hai Har Saal
Ab Ke Mere Halat Badal Day Mere Mola
Fana Kar Apni Zindagi Ko Rah-e Junon Mai Ae Jawan
Tab Kare Ga Ibadat Jab Gunah Karne Ka Taqat Na Ho Gi