Do Din Ki Zindagi Hai

Do Din Ki Zindagi Hai Kia Karo Gay Ulaj Kar
Raho Tu Phol Ki Manind Bhikro Tu Khusbo Ban Kar
Do Din Ki Zindagi Hai Kia Karo Gay Ulaj Kar
Raho Tu Phol Ki Manind Bhikro Tu Khusbo Ban Kar
Dena Pare Kuch Hi Harjana Sach Hi Likhte Jana
Mat Ghabrana Mat Darna Sach Hi Likhte Jana
Batal Ki Munh Zor Hawa Se Jo Na Kabi Bhuj Payen
Wo Shamen Roshan Kar Jana Sach Hi Likhte Jana
Read More […]
Shakhon Se Tot Jayen Wo Patte Nahi Hain Ham
Aandhi Se Koi Keh De Apni Auqat Mein Rahe
Nahi Hai Na Umeed Iqbal Apni Kisht-e Weran Se
Zara Nam Ho Tu Ye Matti Bahut Zarkhez Hai Saqi
Mojon Ke Tapash Kia Hai Faqt Zoq-e Talab Hai
Pinhan Jo Sadaf Main Hain Wo Dolat Hai Khuda Dad
Ghubar-e Rah Se Keh Do Sambhale Naqsh-e Qadam
Zamana Dhonde Ga Phir In Ko Rehbrai Ke Liye
Jo Ruke Tu Koh-e Giraan Thay Ham Jo Chalay Tu Jaan Se Guzar Gaye
Reh Yar Ham Ne Kadam Kadam Tuje Yadgar Bna Dia
Wo Bi Khayif Nahi Takhta-e Dar Se
Mai Bi Mansoor Hoon Keh Do Aghayar Se
Kun Darate Ho Zindan Ki Deewar Se
Zulm Ki Baat Ku Jahl Ki Raat Ku
Main Nahi Manta Main Nahi Janta
Tum Ne Loota Hai Sadyon Hmara Sukoon
Ab Na Ham Par Chale Ga Tumhara Fasoon
Chara Gar Main Tumhain Kis Tarah Se Kahon
Main Nahi Manta Main Nahi Janta
Deep Jis Ka Mahlaat Main Hi Jale
Chand Logo Ki Khushiyon Ko Le Kar Chale
Wo Jo Saye Main Har Maslihat Ke Play
Aese Dastoor Ko Subah-e Be Noor Ku
Main Nahi Manta Main Nahi Janta
Poet: Habib Jalib