Ya Tu Gham Mere Mizaaj Mein

Ya Tu Gham Mere Mizaaj Mein Rach Bas Gaye Hain
Ya Dil Ko Ihtijaj Ki Aadat Nahi Rahi
Ya Tu Gham Mere Mizaaj Mein Rach Bas Gaye Hain
Ya Dil Ko Ihtijaj Ki Aadat Nahi Rahi
Dil Mein Kisi Ke Rah Kiye Ja Raha Hun Main
Kitna Haseen Gunah Kiye Ja Raha Hun Main
Aaj Tak Hai Dil Ko Us Ke Lot Aane Ki Umeed
Aaj Tak Thehri Hoyi Hai Zindagi Apni Jagah
Dil Ko Choton Ne Kabhi Chain Se Rehne Na Dya
Jab Chali Sard Hawa, Mai Ne Tujhe Yaad Kiya
Badla Hoya Hai Aaj Mere Aansuon Ka Rang
Kya Dil Ke Zakhm Ka Koi Tanka Udhar Gaya
Dil Ki Tamanna Thi Masti Mein Manzil Se Bhi Dor Nikle
Apna Bhi Koi Sathi Hota Ham Bhi Behakte Chalte Chalte
Wo Mera Tha Mera Hai Aur Mera Hi Rahe Ga
Qayam Hai Isi Zid Pe Ye Mera Dil Dheet Kahin Ka
Mere Sene Mein Dil Hai Ya Koi Shahzada Khud Sar
Kisi Din Is Ko Taj O Takht Se Mehroom Kar Dekhon