Wasi Mein Jab Bhi Hansta Hun

Hazaron Mosamon Ki Hukmrani Hai Mere Dil Par
Wasi Mein Jab Bhi Hansta Hun Tu Aankhen Bheg Jati Hain
Hazaron Mosamon Ki Hukmrani Hai Mere Dil Par
Wasi Mein Jab Bhi Hansta Hun Tu Aankhen Bheg Jati Hain
Ulti Ho Gayi Sab Tadberain Kuch Na Dava Ne Kam Kia
Dekha Is Bemari-e Dil Ne Aakhir Kaam Tamam Kia
Be waja Nahi Roota Ishq Main Koi Ghalib
Jisay Khud Se Barh Ke Chaha Ho Wo Rulata Zaroor Hai
Aj ki raat bi mumkin hai na soo sakon mohsin
Yad phir ayi hai neendon ko urane wali
Bulaon Ga Na Milun Ga Na Khat Likhon Ga Tuje
Teri Khushi Ke Liye Khud Ko Ye Saza Dun Ga
Aur Bhi Dukh Hain Zamane Mein Mohabat Ke Siwa
Rahaten Aur Bhi Hain Wasal Ki Rahat Ke Siwa
Apno Ki Chahton Mein Milawat Thi Is Qadar
Tang Aa Ke Dushmano Ko Manane Chala Gya
Submitted By: Ali Asghar Chohan