Hazar Dard Ke Rango Se

Hazar Dard Ke Rango Se Aashna Thi Nazar
Phir ik Khawab e Siyyah Kha Gaya Meri Aankhein
Hazar Dard Ke Rango Se Aashna Thi Nazar
Phir ik Khawab e Siyyah Kha Gaya Meri Aankhein
Gham Aur Khushi Mein Farq Na Mahsoos Ho Jahan
Mein Dil Ko Us Muqam Pe Lata Chala Gaya
Mohabat Tarq Ki Mein Ne Greban Si Liya Mein Ne
Zamane Ab Tu Khush Ho Zehar Ye Bhi Pee Liya Mein Ne
Barson Guzar Gye Ro Kar Nahi Dekha
Aankhon Mai Neend Thi So Kar Nahi Dekha
Wo Kya Jane Dard Mohabat Ka
Jis Ne Kisi Ka Ho Kar Nahi Dekha
Ishara Tu Madad Ka Kar Raha Tha Dobne Wala
Magar Yaran-e Sahal Ne Salam Alwida Samjha
Mere Sabr Ki Intiha Kia Pochte Ho Faraz
Wo Muj Se Lipat Ke Roya Kisi Aur Ke Liye