Ya wo thay khafa ham se

Ya wo thay khafa ham se ya ham hain khafa un se
Kal un ka zamana tha aaj apna zamana hai
Ya wo thay khafa ham se ya ham hain khafa un se
Kal un ka zamana tha aaj apna zamana hai
Baton mein lagaye hi mujhe rakhta hai zalim
Waday wohi jhotay hain wohi shaam o sehar roz
Qarab acha hai magar itni bhi shidat se na mil
Ye no ho tujh ko mery rog puranay lag jayen
Musalsal hadson se bas mujhe itnis shakyat hai
Keh ye aanso bahane ki bhi muhlat nahi dete
Us ko rukhsat to kya tha mujhe maloom nah tha
Sara ghar le gaya ghar chore ke jane wala
Sirf hathon ko nah dekho kabhi ankhen bhi parho
Kuch sawali barray khuddar huwa karte hain
Tujhe bhol jana tu mumkin nahi hai
Magar bhol jane ko ji chahta hai