Kitna Tanha Ho Ga Chand

Itne Ghane Badal Ke Peche
Kitna Tanha Ho Ga Chand
Rang Badla Yaar Ne Wo Pyar Ki Baatain Gayen
Wo Mulaqaten Gayen Wo Chandni Raatain Gayen
Aasman Aur Zameen Ka Tafawat Har Chaand
Ae Sanam Dor Hi Se Chand Ka Sa Mukhra Dikhla
Udhar Se Chand Tum Dekho, Idhar Se Chand Ham Dekhen
Nigahen Yun Takrayen Ke Do Dilon Ki Eid Ho Jaye
Husn Ko Chand, Jwani Ko Kanwal Kehte Hain
Un Ki Soorat Nazar Aye Tu Ham Ghazal Kehte Hain
Wo Raatain Chand Ke Sath Gayen Wo Batain Chand Ke Sath Gayen
Ab Sukh Ke Sapne Kya Dekhein Jab Dukh Ka Suraj Sar Par Ho
Kash Har Raat Ik Hi Manzar Ho
Chand, Parbat, Ye Jheel Mein Aur Tum
Submitted By: Rashid Qayoum Ansar