Gham-e Zamana Ne Majboor
Gham-e Zamana Ne Majboor Kar Diya Warna
Yeh Arzoo Thi Ke Bas Teri Aarzoo Karte
Read our exclusive collection of Akhtar shirani poetry, ghazals and nazams. Akhtaristan, Subh-e bahar and Shahnaz are some of his poetry collections. Poetry is regularly updated on SadPoetry.org
Gham-e Zamana Ne Majboor Kar Diya Warna
Yeh Arzoo Thi Ke Bas Teri Aarzoo Karte
Raat Bhar Un Ka Tasawwur Dil Ko Tarpaata Raha
Aik Naqsha Samnay Aata Raha Jata Raha
Woh Agar Aa Nah Sakay Mout Hi Aayi Hoti
Hijar Mein Koi To Gam-Khvar Hamara Hota
Chaman Mein Rehne Walon Se To Hum Sehraa Nashen Achay
Bahhar Aa Ke Chali Jati Hai Weerani Nahi Jati
Mana Ke Sab Ke Samnay Milnay Se Hai Hijaab
Lekin Woh Khawab Mein Bhi Nah Ayen To Kya Karen
Kuch Tu Tanhai Ki Raaton Mein Sahara Hota
Tun Na Hote Na Sahi Zikar Tumhara Hota
Kanton Se Dil Lagao Jo Ta-Umar Sath Dein
Pholon Ka Kya Jo Sans Ki Garmi Na Seh Sakain
Ishq Ko Naghma-E Umeed Suna De Aa Kar
Dil Ki Soyi Hui Qismat Ko Jaga De Aa Kar