2205 poems
Tera Khat Aane Se Dil Ko Mere Aaram Kya Ho Ga Khuda Jane Keh Is Aaghaz Ka Anjam Kya Ho Ga
Kuch Bata Tu Hi Nasheman Ka Pata Mein Tu Aey Bad-E Saba Bhol Gaya
Ham Bhi Kar Lein Jo Roshni Ghar Mein Phir Andheray Kahan Qayam Karein
Paon Ki Dhol Ko Dastar Se Larna Ho Ga Ab Ghreebon Ko Bhi Zardar Se Larna Ho GaJang Tu Jeet Gya Hon Mein Jahan Walon Se Ab Mujhe Apny Hi Ghar Bar Se Larna Ho Ga
Din Kuch Aesy Guzarta Hai Koi Jese Ehsaan Utarta Hai Koi
Ghazal Faza Bhi Dhondti Hai Apne Khas Rang Ki Hamara Masla Faqt Qalam Dawat Hi Nahi
Wo Muj Se Bichar Kar Ab Tak Roya Nahi Ghalib Koi Tu Hai Hamdard Ju Usay Rone Nahi Deta
Ik Din Ki Baat Ho Tu Usay Bhol Jayen Ham Nazal Hon Dil Pey Roz Balayen Tu Kya Krein
Aankhon Mein Raha, Dil Mein Utar Kar Nahi Dekha Kashti Ke Musafir Ne Samandar Nahi Dekha
Darya Ke Kinare Peh Meri Lash Pari Thi Aur Pani Ki Teh Mein Wo Mujhe Dhond Raha Tha
Behta Aansu Ik Jhalak Mein Kitne Roop Dikhaye Ga Aankh Se Ho Kar Gaal Bhigo Kar Mitti Mein Mil Jaye Ga
Allah Se Kare Dor Tu Taleem Bi Fitna Imlak Bi Aulad Bi Jager Bi Fitna Nahaq Ke Liye Uthe Tu Shamsher Bi Fitna Shamsher Hi Kya Nara-e Taqbeer Bi Fitna
Saya Bi Tera Tuj Ko Kahin Chor Jaye Ga Aye Bi Tere Kaam Tu Tanhai Aye Ge
Aandhiyan Aati Thi Lekin Kabhi Aesa Na Hoya Khof Ke Mare Juda Shakh Se Patta Na Hoya
Ab Bhi Ik Umar Pe Jeene Ka Na Andaz Aya Zindagi Chor De Pecha Mera Main Baaz Aya
Mohabat Apnay Liye Jin Ko Muntakhib Kar Le Wo Log Mar Ke Bhi Marte Nahi Mohabat Mein
Tumhein Jafa Se Na Yun Baz Ana Chahye Tha Abhi Kuch Aur Mera Dil Dukhana Chahye Tha
Muje Maar Hi Na Dale In Badlon Ki Sazish Ye Jab Se Baras Rahe Hain Tum Yaad A Rahe Ho
Ab Koi Khushi Hai Na Koi Dard Rulane Wala Ham Ne Apna Liya Har Rang Zamane Wala
Aankh Se Dor Sahi Dil Se Kahan Jaye Ga Jana Wale Tu Hmain Bohat Yaad Aye Ga
Showing 1348 of 2193