2205 poems
Go par to nahi phir bhi azad nahi karna Na shaad rakho mujh ko tum shaad nahi karnaQad kaath agar do ge, samjhun ga tumhe bona Bona hi rakho mujh ko shamshad nahi karna
Jo log samandar mein bhi reh kar rahay pyase Ik abar ka tukda inhen kya day ga dilasayMana ke zaroori hai nigehbani khudi ki Barh jaye nah insaan magar apni quba se
Agarchay dushwar tha magar zair kar liya tha Anaa ka rasta sahal samajh kar jo sir liya thaWoh kahkashaon ki had se agay kahin basa he Talabb mein jiss ki zamee pay boseedah ghar liya tha
Shak apni hi zaat pay honay lagta hai Apni baatein doosron se jab suntay hain
Sakoon woh le gaya tha sath, ab aaraam kho baithy Yeh kis se par gaya paala ke dil se haath dho baithyPareshaa dhoondtay phirtay hain bachay boorhay baba ko Udhar waqton ke qisson mein hain gum sm yaar do baithy
Raat ko raat hi is baar kaha hai hum ne Hum ne is baar bhi tauheen e adalat nahi ki
Aao ik sajda krein aalm-e madhoshi mein Log kehtey hai ke saghar ko khuda yaad nahi
Yahan kisi ko koi rasta nahi deta Mujhe gira ke agar tum sambhal sako to chalo
Hum nahi thay to kya kami thi yahan Hum nah hon ge to kya kami hogi
Koi nai chout phir se khao! Udaas logo Kaha tha kis ne, ke muskuraao! Udas logoGuzr rahi hain gali se, phir maatami hawae Kiwar kholo, diye bujhaao! Udas logo
Suna hai usakee chokhat par, jalay chairag mlitay hain Abhi bhi muntazir hai woh, yahi surag mlitay hainFaaslay hon ya faislay hon, unhen juda nahi karte Jinke mukhlis mohabbat mein, dil o dimagh mlitay hain
Aankhon mein nami si hai chup chup se bethay hain Nazuk si nigahon mein nazuk sa fasana hai
Ae sanam jis ney tujhe chaand si soorat di hai Isi allah ney mujh ko bhi mohabbat di hai
Saprud khak hi karna tha mujh ko Tu phir kahay ko nehlaya gaya hun
Hasrat pay is musafir be-kas ki roiye Jo thak gaya ho baith ke manzil ke samnay
Mout ka bhi ilaaj ho shayad Zindagi ka koi ilaaj nahi
Hum ne sab shair mein sanware thay Hum se jitne sukhan tumahray thayRang o khushbu ke husn o khoobi ke Tum se thay jitne istaaray thay
Sir jhukao gey to pathar daiwata ho jaye ga Itna mat chaho usay woh bewafa ho jaye ga
Log Kehty Hai Badalta Hai Zamana Sab Ko Mard Wo Hain Jo Zamane Ko Badal Dete Hain
Shab e firaq to katatti nazar nahi aati Khayal-e yaar main aao faraz so jayen
Showing 328 of 2193