The poem
Read it in Urdu script-
Suna hai usakee chokhat par, jalay chairag mlitay hain Abhi bhi muntazir hai woh, yahi surag mlitay hain
-
Faaslay hon ya faislay hon, unhen juda nahi karte Jinke mukhlis mohabbat mein, dil o dimagh mlitay hain
-
Mohabbat ka aur ranjish ka, jahan aaghaz saabit hai Wahein par baat karte hain, chalo uss baagh mlitay hain
-
Lag ke daman pay dikhalaane, haqeeqi aks rishton ka Bohat manoos hathon se, hamein jo daagh mlitay hain
-
Hai haawi mujh pay lazim yeh, mein ab uqaab ho jaon Ke mujh se jo bhi mlitay hain, chashm-e zaag mlitay hain
Submitted by Tariq Iqbal Haavi