2206 poems
Sunaoun ga tumhe ae dost mein fursat se haal apna Maheena chain se guzra, nah din, ghanta nah saal apnaTumahray hijr o hurman se kahoon kya haal kaisa hai Samajh lije ke honay ko hai ab to intqaal apna
Ik shakhs ke jane se badal jati hai duniya Phir aah bhi karlo to machal jati hai duniyaMein pyar ka taalib jo hoa ehley jahan se Zardi si koi chehray pay mil jati hai duniya
Hum sab ki jo dua thi usay sun liya gaya Phoolon ki terhan aap ko bhi chunn liya gaya
Kitney lahjoon ke ghlafon mein chhupaao tujh ko Shehar walay mra mauzo sukhan jantay hain
Mujhe de rahe hain taslliyan wo har aik taza pegham se Kabi aa ke manzir-e aam par kabi hat ke manzir-e aam se
Jo aala zarf hotay hain hamesha jhuk ke mlitay hain Suraahi surangoon ho kar bhara karti hai pemana
Iraday bandhata hon sochta hon toar deta hon Kahin aisa nah ho jaye kahin aisa nah ho jaye
Khamosh subahen, udas shaamein, tera pata mujh se poochti hain Batau ab kya ke yeh fizayen palat ke kya mujh se poochti hainUdas chiryen jo din ko danay ki khoj mein theen, hain lout aayi Kahan he shaakh shajar ke jiss par tha ghonsla mujh se poochti hain
Ik din to lipat jaye tasawwur hi se tairay Yeh bhi dil naa-murad ko jurrat nahi millti
Bank mein khata mohabbat ka bhi khola jata Ishq liezer ko har ik lamha tatola jataCheck bharta jo kabhi cash karanay ke liye "Khatah khaali hai" barray pyar se bola jata
Ronay ko to zindagi pari hai Kuch teray sitam pay muskura len
Nahi nigah main manzil tu justaju hi sahi Nahi wisaal mayasar to aarzo hi sahi
Ujalay apni yaado ke hamaray sath rehne do Nah jane kis gali mein zindagi ki shaam ho jaye
Ye dilbari ye andaz ye naaz ye jamal Insan kare agar na teri chah kya kare
Maa woh chhat hai bina jis ke ghar nahi hota Baap deewar hai jo chhat ka pilar hota haiKoi to hai ke jo har roz yaad karta hai Woh jis ki mehafilon mein mera zikar hota hai
Dil bhi pagal hai ke us shakhs se wabasta hai Jo kisi aur ka hony dy na apna rakhy
Honton pay kabhi un ke mra naam hi aaye Aaye to sahi bar sir ilzaam hi aaye
Main us ko dekh ke chup tha usi ki shaadi main Maza tu sara isi rasam ke nibah main tha
Thi khabar garam ke Ghalib ke uray gey purzy Dekhne ham bhi gaye thy par tamasha na hoa
Shaam bhi ho jaye gi yeh, dil nashen aaye ga woh Aarzoyeen ho rahi hain jagzin aaye ga wohPehlay bhi wadon se –apne kab kiya hai inhiraf Ab wachan jo day diya to bil-yaqeen aaye ga woh
Showing 308 of 2194