The poem
Read it in Urdu script-
Yeh maaen jo hoti hain Bohat dil ke paas hoti hain
-
Pyar aur mohabbat mein be misaal hoti hain Chout jo lagey aulaad ko
-
Takleef se yeh be haal hoti hain Yeh maaen jo hoti hain
-
Bohat khaas hoti hain Aulaad ke har dam paas hoti hain
-
Karlo khidmat maa baap ki Jannat ki chaabi unkay paas hoti hai
-
Yeh maaen jo hoti hain Kkhuda ka roop hoti hain
-
Aulaad ko har dam matloob hoti hain Chalay jao kahin bhi
-
Maa ki kami mehsoos hoti hai Jab taq maa baap hain salamat tab taq
-
Duaon ki chadar sir par mojood hoti hai Yeh maaen jo hoti hain
-
Duniya se khaas hoti hain
Submitted by Donpajji


