Shaakh Se Phool Ko Phir Juda Kar Diya
Zakhm Pairo Ka Kisne Hara Kar Diya
Ek Tukra Khushi Ka Tha Rakkha Hua
Jane Kis Baat Ne Ghumz’da Kar Diya
Kyun Ta’alluk Ki Buniyaad Dhehne Lagi
Be-yakeeni Ko Kisne Khadha Kar Diya
Pehle Manzil Dikhai Mujhe Aur Phir
B’nd Charon Taraf Raasta Kar Diya
Waqt Khud Apne Chehre Se Darr Ja’ga
Maine Ehsaas Ko Aaina Kar Diya
Koun Khush Fehmiyaan Paalta Roz-o-shab
Shukr Hai Zindagi Ne Riha Kar Diya
Waqt Ne Chal Kaisi Chali Aye “Hasan”
Dost Jaise Ko Dushman Numaa Kar Diya