The poem
Read it in Urdu script-
Shaakh Se Phool Ko Phir Juda Kar Diya Zakhm Pairo Ka Kisne Hara Kar Diya
-
Ek Tukra Khushi Ka Tha Rakkha Hua Jane Kis Baat Ne Ghumz'da Kar Diya
-
Kyun Ta'alluk Ki Buniyaad Dhehne Lagi Be-yakeeni Ko Kisne Khadha Kar Diya
-
Pehle Manzil Dikhai Mujhe Aur Phir B'nd Charon Taraf Raasta Kar Diya
-
Waqt Khud Apne Chehre Se Darr Ja'ga Maine Ehsaas Ko Aaina Kar Diya
-
Koun Khush Fehmiyaan Paalta Roz-o-shab Shukr Hai Zindagi Ne Riha Kar Diya
-
Waqt Ne Chal Kaisi Chali Aye "Hasan" Dost Jaise Ko Dushman Numaa Kar Diya
