Koyi Zalim Koi Fasik Koi Badkaar Nahi Raha
Zulfiqar Ke Maqabil Laskhar Kufar Nahi Raha
Ali Ki Bahaduri, Kya Lafzon Mein Ho Bayan
Nad-e-ali Ke Baad, Bab-e Khyber Nahi Raha
Mere Aaqa Ko Allah Naay, Kusar Se Nawaza Hai
Mehboob Kkhuda Ko Abtar Kehnay Wala Nahi Raha
Ab Bhi Aati Hai Mehak, Baad-e Karbalaa Se Hussain Ki
Hasnain Ke Dushmanon Ka, Koi Waris Nahi Raha
Take Aaya Jo Apni Jabeen, Kaabay Ki Chokhat Par
Kitna Bhi Ho Ghaafil, Gunehgaar Nahi Raha
Yun To Aeye Mehshar Mein Aik Se Aik Sikandar
Rutba Ghulam Ali Ke Barabar Nahi Raha
Doobi Hui Thi Duniya Jahalat Ki Zulmat Mein
Zahur-e Aaqa? Ke Baad Aalam Mein Andhera Nahi Raha
Allah Naay Hukum Diya Pooncha Dijiye Rasool
Baad Mun Kuntu Mawla Pegham Risalat Nahi Raha
Jab Se Dooba Hai Saahil, Mohammad Ke Samandar Mein
Dar Duniya Nahi Raha, Khof-e Hashar Nahi Raha