The poem
Read it in Urdu script-
Koyi Zalim Koi Fasik Koi Badkaar Nahi Raha Zulfiqar Ke Maqabil Laskhar Kufar Nahi Raha
-
Ali Ki Bahaduri, Kya Lafzon Mein Ho Bayan Nad-e-ali Ke Baad, Bab-e Khyber Nahi Raha
-
Mere Aaqa Ko Allah Naay, Kusar Se Nawaza Hai Mehboob Kkhuda Ko Abtar Kehnay Wala Nahi Raha
-
Ab Bhi Aati Hai Mehak, Baad-e Karbalaa Se Hussain Ki Hasnain Ke Dushmanon Ka, Koi Waris Nahi Raha
-
Take Aaya Jo Apni Jabeen, Kaabay Ki Chokhat Par Kitna Bhi Ho Ghaafil, Gunehgaar Nahi Raha
-
Yun To Aeye Mehshar Mein Aik Se Aik Sikandar Rutba Ghulam Ali Ke Barabar Nahi Raha
-
Doobi Hui Thi Duniya Jahalat Ki Zulmat Mein Zahur-e Aaqa? Ke Baad Aalam Mein Andhera Nahi Raha
-
Allah Naay Hukum Diya Pooncha Dijiye Rasool Baad Mun Kuntu Mawla Pegham Risalat Nahi Raha
-
Jab Se Dooba Hai Saahil, Mohammad Ke Samandar Mein Dar Duniya Nahi Raha, Khof-e Hashar Nahi Raha
Submitted by Shehzad Sadaruddin Saٰahil


