The ghazal
Read it in Urdu script-
Koi Mere Liye Tujhsa Nahi Tha Sitam Ye Hai Tu Hi Apna Nahi Tha
-
Bagair Uske Mujhe Jeena Padega Kabhi Meine To Ye Socha Nahi Tha
-
Meri Aankho Ka Dhoka Tha Yaqeenan Kabhi Bhi Ishq Ye Sachha Nahi Tha
-
Ye Raaste Har Qadam The Saath Mere Mein Tanha Ho Ke Bhi Tanha Nahi Tha
-
Zamane Ke Liye Hoga Wo Mohsin Mere Haq Mein Kabhi Acha Nahi Tha
-
Muqaddar Ban Gaya Zamreen Wo Hi Jise Meine Kabhi Chaha Nahi Tha
-
कोई मेरे लिए तुझसा नहीं था सितम ये है तू ही अपना नहीं था
-
बगैर उसके मुझे जीना पड़ेगा कभी मैंने तो यह सोचा नहीं था
-
मेरी आँखों का धोका था यक़ीनन कभी भी इश्क़ ये सच्चा नहीं था
-
ये रास्ते हर क़दम थे साथ मेरे मैं तन्हा होके भी तन्हा नहीं था
-
ज़माने के लिए होगा वो मोहसिन मेरे हक़ में कभी अच्छा नहीं था
-
मुकद्दर बन गया ज़मरीन वो ही जिसे मैंने कभी चाहा नहीं था
-
ज़मरीन बदायूनी
Submitted by zamreen Badayuni


