Chup jati hain aaina dikha kar tri yaaden

nazi kazmi ghazal

Chup jati hain aaina dikha kar tri yaaden
Sonay nahi detin mujhe shab bhar teri yaaden

To jaisay marey paas hai aur mehve sukhan hai
Mehfil si jama deti hain aksar teri yaaden

Mein kyun nah phiron tapti dopehron mein harasan
Phirti hain tasvor mein khule sir tri yaaden

Jab taiz hawa chalti hai basti mein sar-e shaam
Barsati hain atraaf se pathar teri yaaden

Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments