The ghazal
Read it in Urdu script-
Be ikhtiyar tera naam pukare jatay hain Tujh se milnay tairay koochy ko jatay hain
-
Taweel safar tay karte hain teri deed ki khatir Tamam safar bas tujh ko hi soochey jatay hain
-
Tasawwur mein har dam tera deedar karte rehtay hain Jitna tairay baray mein sochen madhosh hoye jatay hain
-
Aik din hoga tera deedar naseeb hum ko bhi Bas isi aas par chup chaap jiye jatay hain
Submitted by Donpajji


