Basti mein ab koi ghar roshan nahi hai

ghar-roshan

Basti mein ab koi ghar roshan nahi hai
Dukh yeh hai logon ko bhi uljan nahi hai

So charaghoon ko jala rakha hai lekin
Ghar hai ke phir bhi sun-hwa roshan nahi hai

Chore satke ho mujhe is baar sach mein
Ab ke mujh ko bhi koi uljan nahi hai

Yaad mein teri jala hai raat din yeh
Khanah dil mein aur ab eendhan nahi hai

Ranjishen be had hain is ke man mein tahir
Woh bzahir to mera dushman nahi hai

Poet: Tahir Mukhtar Tahir

Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments