Tanqeed mein kabhi bigra hoya, to kabhi nakara kaha gaya mujhe
Maa bas ik tairay pyar ka sahara sanwaar gaya mujhe
Maa ke ahsaan hain kitney mujh par bayan kaisay karoon
Is ko dekhnay hi se sawab hajj nawaza gaya mujhe
Maa teri khidmat karne mein bohat khamiyan thi mujh mein
Phir bhi woh teri aakhri muskurahat ne sambhaal liya mujhe
Mein to ab is dar se rota bhi nahi hon maa
Ke ab ki baar kon day ga tairay jaisa dilasa mujhe