Zammana jab se jadeed ho gya hai

Zammana jab se jadeed ho gya hai
Dilon main gham bhi shadeed ho gya hai
Zamana bohat taraqi kar chuka hai lekin
Bhok ka dar bhi mazeed ho gya hai
Haq ko haq kehnay se jo

Haq ko haq kehnay se jo dartay nahi hain
Woh mar bhi jayen agar to martay nahi hain
Kuch to baat hai haq ki karfrmayi mein
Be wajah yuhin sir katete nahi hain Continue reading “Haq ko haq kehnay se jo”
Ghalat thehra har koi

Ghalat thehra har koi meri pehchan mein
Allag tasveer thi meri marey gumaan mein
Bigaar kar insaan is zameen ke khadd-o-khaal
Talaash karta hai naya ghar aasman mein
Darasal apna hi aks daikhta hai har koi
Lagey hain har taraf aaiine jahan mein
Mujh mein hain khamiyan

Mujh mein hain khamiyan yeh bta rahay hain
Andhay mujhe aaina dikha rahay hain
Zulm hai ke khail qood ki umar mein
Bachay baston ka boojh utha rahay hain Continue reading “Mujh mein hain khamiyan”
Kuch aesy kaam ab kar jaon ga main

Kuch aesy kaam ab kar jaon ga main
dil ki rahon se utar jaon ga main
meri ta’amer main saraf hoye hain zarrat
chona mat mujhy bikhar jaon ga main
tanhai ki ho jaye gi itni aadat mujhy
apny hi saaye se dar jaon ga main