The poem
Read it in Urdu script-
Ghalat thehra har koi meri pehchan mein Allag tasveer thi meri marey gumaan mein
-
Bigaar kar insaan is zameen ke khadd-o-khaal Talaash karta hai naya ghar aasman mein
-
Darasal apna hi aks daikhta hai har koi Lagey hain har taraf aaiine jahan mein
Submitted by Mehar Ali